Daaman-e-gul main he gulzaar

Ticker

6/recent/ticker-posts

Daaman-e-gul main he gulzaar

Daaman-e-gul main he gulzaar bikhar jaaty hain,
Aag bujhti hay tu angaar bikhar jaaty hain,

Shama jalti hay sada ek he lamhy lykin,
Jal k perwaany kai baar bikhar jaaty hain,

Jin ko insaan pirota hay bohat ulfat say,
Haai woh gul sar-e-bazaar bikhar jaaty hain,

Paaon uthty hain tayry koochay ki jaanib jab bhi,
Apni raahoon main kai khaar bikhar jaaty hain,

Raat k pichly pehar khoon-e-tamanna ki tarhan,
Ham tayri yad main aey yaar bikhar jaaty hain,

Ho ga andaaz-e-wafa unka alag he,
Jin ki raahon main talabgaar bikhar jaaty hain

Post a Comment

0 Comments